Log kehte hai zindagi saaso se milti hai magar asal maayno me meri zindagi to us din shuru hui thi jis din mene tumhe pehli baar dekha tha-01/08/2013. saase to me 1998 se le raha tha magar un saaso ko wajah dene tum meri zindagi me thik 15 saalo baad aayi. Tumhaare aane ke baad maano kuch pehle jaisa raha hi nahi, har din maano naya sa lagne laga, log school jaana pasand nahi karte the magar shayad me hi ek aisa student tha jo chutti naa ho ye pray kia karta tha. Bas saara din tumhaare paas baithne ke bahaane dhundha karta tha, tumhe call kar saku isilie apni books tumhaare bag me chhor dena, tumhare saath wakt bitaane ke lie 7 km dur tumhaare tution me join hona, ye sab kitna acha tha n. Kaash wakt ret ki tarah naa hota, kaash wakt fisalta naa mere haatho se, kaash mujhe “humaare” lie thoda aur wakt mil paata. Pata nahi wakt aur haalaat ko kya ho gaya tha 5 saal pehle, sab kuch badal gaya. Aaj mai shayad yaad bhi nahi hu tumhe, zindagiya badal gayi naa miss sarkar, tumhaari bhi, mari bhi. Tumhaare zindagi me meri jagah kisi aur ne le li aur tumhaare hisaab se meri zindagi me bhi koi aur aa gaya, lekin sach to ye hai ki tumhaare baad shayad hi mere life me loi aur tha, kyuki sachai to ye hai ki tumhaare baad jo v meri zindagi me aayi me har kisi me tumhaara aksh khojta raha, magar kismat ne mera yaha bhi saath nahi dia koi hai hi nahi yaar tumhaare jaisi. Aaj sab kuch badal gaya, hamaare bich hazaaro km ka faasla aa gaya, lekin agar kuch nahi badalta to wo aakhe jisme mere lia kavi pyaar to nahi aaya magar ek apnapan tha, lekin aaj un aakho me mai chaahe kitna bhi khud ko khoj lu, koi faaida nahi, mai to us apnepan ke sahaare bhi apni puri zindagi kaatne ke lie taiyaar tha lekin shayad zindagi ko meri itni si v khwaahish manzoor nahi thi. Aaj mere paas sab kuch hai, bhai jaise dost, jaan se zada chaahne wale maa baap, aur ek acha future. Lekin jaane kyu aisa lagta hai ki sab kuch hote hue bhi kuch nahi hai mere paas. Kyuki mujhe pata hai mai chaahe kitni v kosis kar lu mai tumhaare aakho me fir se wo apnapan nahi dekh paaunga. Magar me kya karu kyuki meri aakhe to aaj bhi bheed me tumhaare hi intezaar me hai, mere kaan to aaj bhi isi aas me hai ki tumhaari awaz sunaai de jaae. Duniya ke lie beete kuch saalo me meri zindagi puri badal chuki hai, magar ye to airf mai jaanta hu ki meri zindagi to 12 april 2015 ko hi tham chuki thi jab mene tumhe aakhiri baar dekha tha. Jeena to me usi din bhul gaya tha ab to bas zinda hu.Ab dunia bhale hi ise jis bhi nazar se dekhe lekin mere liye to tum hi meri aashiqui thi, bhale hi ek tarfa hi sahi lekin pyaar to kia hai mene. Shayad kismat yahi chahti thi ki humaari kahaani adhuri hi rahe. Aakhir me bas itna hi kehna chahunga…ki umeed karta hu abhi hamaari kahaani baaki ho.